Friday, December 4, 2009

SHARMATEY KYON HO

Apnay hathon say yon chehray ko chupatay kyon ho

Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqarar-e-wafa

Pyaar kartay ho to phir pyar chupatay kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh k rotay kyon ho

Dil bhar aata hay to phir dil ko dukhate kyon ho

In say wabasta hay jab mera muqaddar phir tum

Mere shanon say ye zulf hatatay kyon ho

Roz mar mar k mujhe jeenay ko kahtay kyon ho

Milnay aatay ho to phir laut k jaate kyon ho

No comments:

Post a Comment